tujhe kya kya bataun in dinon kaisi guzarti hai

tujhe kya kya bataun in dinon kaisi guzarti hai
bichhad kar tujh se mujh par jo guzarni thi guzarti hai

faqat karwat badalte bit jati hain kai sadiyan
ghadi mein dekhta hun raat abhi aadhi guzarti hai

na koi din guzarta hai tere bare mein soche bin
na koi sham teri yaad se khali guzarti hai

ye dhalti sham jaise teri aankhen uth ke jhukti hain
guzarti shab to jaise zulf lahraati guzarti hai

teri furqat mein zauq-e-shairi hi ek sahaara tha
wagarna ghar ke pichhe rail ki patri guzarti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close