tere sath chalti hun ek jahan jata hai gar gurez karti hun tera man jata hai dard ke hawale se kitna ba-khabar hai wo mere dil ki baaton ko kaise jaan jata hai dhup hi to milti hai zard zard mausam mein wahshaton ke sahra mein saeban jata hai khak-e-dil tujhe le kar ab kahan kahan jaun gar zamin ki hoti hun aasman jata hai hijr ke samundar se main guzar ke aai hun tere ab na milne se mera man jata hai jab rawish pe chalti hun main ada-e-wahshat ki phul ruth jate hain gulsitan jata hai bazm mein use 'rumi' jab bhi dafatan dekhun zabt hi nahin dil se har guman jata hai