tere siwa kisi ki tamanna karunga main aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main go gham aziz hai mujhe tere firaq ka phir bhi is imtihan ka shikwa karunga main aankhon ko ashk o khun bhi faraham karunga main dil ke liye bhi dard muhayya karunga main rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir kya etibar-e-khwahish-e-duniya karunga main rakkha hai kya jahan mein ye aur baat hai ye aur baat hai ki taqaza karunga main ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi yani ab us gali se bhi guzra karunga main yani kuchh is tarah ki tujhe bhi khabar na ho is ehtiyat se tujhe dekha karunga main hai dekhne ki chiz to ye iltifat bhi dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main hairan o dil-shikasta hun is haal-e-zar par kab jaanta tha apna tamasha karunga main han khinch lunga waqt ki zanjir panw se ab ke bahaar aai to aisa karunga main