ek shor sameto jiwan bhar aur chup dariya mein utar jao duniya ne tum ko tanha kiya tum is ko tanha kar jao is hijr o visal ke bich kahin ek lamhe ko ji chahta hai bas abr-o-hawa ke sath phiro aur jism o jaan se guzar jao tum reza reza ho kar bhi jo khud ko samete phirte ho so ab ke hawa pazhmurda hai is bar zara sa bikhar jao jangal ka ghanera andhiyara ab aan basa hai shahron mein in shahron ko yunhi rahna hai ab zinda raho ya mar jao ek tarik hawa ka jhonka ruk ke ye mujh se kahta hai ye raushan galiyan jhuti hain tum 'sabir' apne ghar jao