tere siwa to nazar mein koi jacha hi nahin ye masala to magar tujh ko dikh raha hi nahin wo dil ki baat nigahon se jaan sakta tha wo jald-baz magar in mein jhankta hi nahin lakir khinch ke naqsha ghalat kiya main ne ki mera hath kisi ki talab raha hi nahin samay ki jhil ne pani tarai par phenka wo shah-sawar magar us taraf gaya hi nahin muhib raste hum ko kahan dara sakte wafa ki rah pe koi hamein mila hi nahin main satpata ke razai mein munh chhupati hun tumhaara hijr to kamre se ja raha hi nahin use talash kiya hai farah bahut main ne wo ek shakhs jo mil kar bhi mil saka hi nahin