tere taghaful se hai shikayat na apne mitne ka koi gham hai ye sab ba-zahir baja hai lekin ye aankh kyun aaj meri nam hai nai umangon ko sath le kar rawan hun phir jada-e-wafa par magar hai ehsas-e-na-muradi ki sahma sahma sa har-qadam hai meri ummidon ko raund kar ab meri khushi ki hai tum ko parwa ye kya naya rup tum ne dhaara ye kya koi nit-naya bharam hai tumhein wo lamhe to yaad honge ki jab tumhein yaad the ye fiqre tumhein mere sar ka wasta hai tumhein meri jaan ki qasam hai wo mehrban kyun hue hain mujhe par wo puchhte hain to kah do 'nayyar' huzur zinda hun ji raha hun badi nawazish bada karam hai