wijdan mein wo aaya ilham hua mujh ko main bhul gaya us ko wo bhul gaya mujh ko ab dub hi jaane de itna na gira mujh ko sharminda na kar dale tinke ki ana mujh ko main gum-shuda logon ki fehrist mein dab jata wo to mere dushman ne pahchan liya mujh ko is ahd mein kya rakkha tha jis pe basar hoti kya hota jo wirse mein milta na khuda mujh ko itni badi duniya mein kab se main akela hun ai rabb-e-karim apne bandon se mila mujh ko