tere ushshaq ne har mod pe thukrai hai aql wo bhik hai jo duniya utha lai hai phut jaen meri aankhen yahi din dekhne the teri taswir kisi ghair ne dikhlai hai kitni mil jae kise kuchh bhi nahin kah sakte hasb-e-taufiq tere ishq mein ruswai hai aisi haalat to sar-e-hashr nazar aani thi jo tere saya-e-diwar nazar aai hai hum se bhi pher nazar hum ko bhi ruswa farma hum ne nuqsan uthane ki qasam khai hai ab tere khwab falak se bhi utar aaen to kya aas ki chhat se meri nind utar aai hai ibn-e-'jawed' ne bas gham nahin paya hai tera ibn-e-'jawed' ne hisse ki khushi pai hai