tu mayassar bhi nahin aur ham-aghosh hai tu mujh ko binai hi kyon di thi jo ru-posh hai tu sufiyon ne bhi tere nam ke chhalkae hain jam mai-kada-saz hai tu mai-kada-bar-dosh hai tu tera har jurm main is nafs ke sar madhta hun dil azal se meri nazron mein subuk-dosh hai tu teri takfir ki khaslat ko ye kya ho gaya hai aaj kya baat hai har baat pe khamosh hai tu raat ke aakhiri tare tujhe nind aane lagi mere qisse pe main samjha hama-tan-gosh hai tu ek main hun ki teri chah mein hun khana-ba-dosh aur ek tu hai ki apne mein hi madhosh hai tu teri shadabi se ba-faiz hai ye aalam-e-husn tujh se gulshan hain bahaaren hain siyah-posh hai tu