tere wade ka har ek ko agar e'tibar hota to jahan mein kuchh na hota faqat intizar hota abhi kam hai soz-e-ulfat ki nafas sharar-fishan hai agar aag tez hoti to ye shoala-bar hota dil-o-tir-e-khun-chaka ki wo shabih khinch deta jo lahu ka koi qatra sar-e-nok-e-khar hota mujhe dard bhi tha rahat mujhe gham bhi tha masarrat jo wo mujh ko ranj de kar kabhi gham-gusar hota jo bhara hai gham se sina to sukut hi hai behtar ki labon par aah aati to ek ishtihaar hota kabhi yun mita na sakta use aasman-e-zalim tere dar pe o sitamgar jo mera mazar hota ye hijab-e-jism-e-khaki ki hai did ka munafi kabhi darmiyan se uthta to visal-e-yar hota na hua asar kisi par mere nala-e-hazin ka tera tir tha na zalim ki jigar ke par hota abhi aur tul dete gham-e-ishq ko 'nazar' hum agar apni zindagi ka hamein e'tibar hota