main bhi aawara hun tere sat aawara hawa la tu mere hath mein de hat aawara hawa jangali phulon ki khushbu raqs sarshaari shabab nazr kar mujh ko bhi kuchh saughat aawara hua ek sarshaari hai jism o ruh par chhai hui reza reza aasman barsat aawara hawa us kharabe mein bhi ek jannat bana li hai jahan ek main hun ek khuda ki zat aawara hawa yaad aata hai kapasi baadalon ka saeban jagmagate manzaron ki raat aawara hawa be-panahi zehn ki qindil-e-danish bhi siyah ru-ba-ru hadd-e-nazar zulmat aawara hawa dil ke darwaze se lag kar chup khada rahta hai gham kis se kahiye apne ji ki baat aawara hawa sar-kashi zinda rahe lekin 'mujibi' soch le ek musht-e-khak ki auqat aawara hawa