tere wade ka iKHtitam nahin

tere wade ka ikhtitam nahin
ki qayamat pe bhi qayam nahin

bewafai tumhaari aam hui
ab kisi ko kisi se kaam nahin

kis liye dawa-e-zulekhai
ghair yusuf nahin ghulam nahin

wasl ke baad hijr ka kya kaam
dur gardun ka intizam nahin

kaun sunta hai nala-o-fariyaad
charkh ko khauf-e-intiqam nahin

khal-e-lab dekh kar hua malum
koi dana baghair-e-dam nahin

aap mein kyun ki aaun jab ki tu aae
khalwat-e-khas bazm-e-am nahin

nala karta hun log sunte hain
aap se mera kuchh kalam nahin

jis jagah hai wahan bhi hai bohtan
ki kisi ja tera maqam nahin

roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan
sham par bhi to ikhtitam nahin

hai khuda hi 'qalaq' jo aaj bujhe
subh hote nahin ki sham nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close