teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai ek aalam teri jaanib nigran dekha hai kitne anwar simat aae hain in aankhon mein ek tabassum tere honton pe rawan dekha hai hum ko aawara o bekar samajhne walo tum ne kab is but-e-kafir ko jawan dekha hai sehn-e-gulshan mein ki anjum ki tarab-gahon mein tum ko dekha hai kahin jaane kahan dekha hai wahi aawara o diwana o aashufta-mizaj hum ne 'jalib' ko sar-e-ku-e-butan dekha hai