shayad jagah nasib ho us gul ke haar mein main phul ban ke aaunga ab ki bahaar mein kafnae baghban mujhe phulon ke haar mein kuchh to bura ho dil mera ab ki bahaar mein gundhwa ke dil ko lae hain phulon ke haar mein ye haar un ko nazr karenge bahaar mein nichla raha na soz-e-darun intizar mein is aag ne surang laga di mazar mein khalwat khayal-e-yar se hai intizar mein aaen farishte le ke ijazat mazar mein hum ko to jagna hai tere intizar mein aai ho jis ko nind wo soe mazar mein main dil ki qadr kyun na karun hijr-e-yar mein un ki si shokhiyan hain isi be-qarar mein 'simab' be-tadap si tadap hijr-e-yar mein kya bijliyan bhari hain dil-e-be-qarar mein thi tab-e-husn shokhi-e-taswir-e-yar mein bijli chamak gai nazar-e-be-qarar mein baadal ki ye garaj nahin abr-e-bahaar mein barra raha hai koi sharabi khumar mein umr-e-daraaz mang ke lai thi chaar din do aarzu mein kat gae do intizar mein tanha mere satane ko rah jae kyun zamin ai aasman tu bhi utar aa mazar mein khud husn na-khuda-e-mohabbat khuda-e-dil kya kya liye hain main ne tere nam pyar mein mujh ko mita gai rawish-e-sharmgin teri mein jazb ho gaya nigah-e-sharmsar mein allah-re sham-e-gham meri be-ikhtiyariyan ek dil hai pas wo bhi nahin ikhtiyar mein ai ashk-e-garm mand na pad jae raushni phir tel ho chuka hai dil-e-dagh-dar mein ye moajiza hai wahshat-e-uryan-pasand ka main ku-e-yar mein hun kafan hai mazar mein ai dard dil ko chhed ke phir bar bar chhed hai chhed ka maza khalish-e-bar-bar mein ifraat-e-masiyat se fazilat mili mujhe main hun gunahgaron ki pahli qatar mein darta hun ye tadap ke lahad ko ulat na de hathon se dil dabae hue hun mazar mein tum ne to hath jaur-o-sitam se utha liya ab kya maza raha sitam-e-rozgar mein kya jaane rahmaton ne liya kis tarah hisab do chaar bhi gunah na nikle shumar mein o parda-dar ab to nikal aa ki hashr hai duniya khadi hui hai tere intizar mein roi hai sari raat andhere mein be-kasi aansu bhare hue hain charagh-e-mazar mein 'simab' phul ugen lahad-e-andalib se itni to zindagi ho hawa-e-bahaar mein