teri aankhon ki kaifiyyat ko maikhane se kya nisbat nigah ki gardishon ko daur paimane se kya nisbat ye jiwe hijr mein wo wasl mein bhi ji nahin sakta takalluf-bar-taraf bulbul ko parwane se kya nisbat ye wo moti hain jin ki sipiyan aankhen hain aashiq ki mere aansu ko marwarid ke dane se kya nisbat are dil mat tawaqqoa dilbaron se rakh tarahhum ki lahu pite hain jo shakhs un ko gham khane se kya nisbat gul us ka dagh hai aur sarw us ka aah-e-mauzun hai 'yaqin' se nauhagar ko bagh mein jaane se kya nisbat