na tarz-e-khas na andaz-e-gul-fishan le kar pukarta hun main tujh ko teri zaban le kar tamam husn-e-tamanna dhuan dhuan le kar nigah bujh hi gai raat ka saman le kar meri bahaar-e-tamanna ko jawedan kar de main kya karunga bhala umr-e-raegan le kar tumhaare bazm ka dastur chahe jo bhi ho tumhaari bazm mein aaya hun main zaban le kar ab aur kitna tamasha banaegi qismat phirun main apna janaza kahan kahan le kar mujhe hi ras na aai ye bad-nasib zaban to kya karoge miyan tum meri zaban le kar ye pastiyon ki lakiren na chhu sakengi mujhe main ghar se nikla hun aankhon mein aasman le kar suhag jis ki judai mein ujda ujda hai kabhi to lautega sone ki chudiyan le kar tumhaara aaina kaise na ehtiram kare meri ghazal bhi to aai hai kahkashan le kar khirad ki resham-o-atlas-nawaz mahfil mein junun chala hai gareban ki dhajjiyan le kar mizaj bachchon ke jaisa hai ab bhi 'qaisar' ka bahut hi khush hai wo kaghaz ki titliyan le kar