teri aankhon se mili jumbish meri tahrir ko kar diya main ne mukammal khwab ki tabir ko jab mohabbat ki kahani lab pe aati hai kabhi wo bura kahte hain mujh ko aur main taqdir ko uf re ye shor-e-salasil nind sab ki ud gai do rihai aa ke tum pa-basta-e-zanjir ko ye araq-aluda peshani ye ranj-o-iztirab dekh ja aa kar shikast-e-ishq ki taswir ko zindagi yun un ke qadmon par nichhawar main ne ki jaise parwana jala de nur par taqdir ko ai mere masum qatil itni mohlat de mujhe chum lun aankhon se apni barahna shamshir ko jis ne chahat ke tajassus mein ganwa di zindagi wo kahan todega 'tishna' zulm ki zanjir ko