jahan kuchh log diwane bane hain bade dilchasp afsane bane hain haqiqat kuchh to hoti hai yaqinan kahin jhute bhi afsane bane hain bahut nazan the jo farzangi par unhen dekha to diwane bane hain ki andaz-e-nazar ki aazari se dilon mein kitne but-khane bane hain jo shoala shama ke dil mein hai raushan usi shoale se parwane bane hain ye kis saqi ka faizan-e-nazar hai chaman mein phul paimane bane hain qayamat tha mera mahfil se uthna na jaane kitne afsane bane hain meri diwangi par hansne wale ba-zom-e-khwesh farzane bane hain jali hain zehn mein yaadon ki shamen tasawwur mein sanam-khane bane hain ba-nam-e-gham ba-unwan-e-mohabbat junun-afroz afsane bane hain zamane se ho 'yazdani' gila kya ki jo apne the begane bane hain