teri abru-o-tegh tez to ham-dam hain ye donon hue hain dil jigar bhi samne rustam hain ye donon na kuchh kaghaz mein hai tane qalam ko dard nalon ka likhun kya ishq ke haalat na-mahram hain ye donon lahu aankhon se bahte waqt rakh leta hun hathon ko jarahat hain agar we donon to marham hain ye donon kaso chashme pe dariya ke diya upar nazar rakhiye hamare dida-e-nam-dida kya kuchh kam hain ye donon lab jaan-bakhsh us ke mar hi rakhte hain aashiq ko agarche aab-e-haiwan hain wa lekin sam hain ye donon nahin abru hi mail jhuk rahi hai tegh bhi idhar hamare kisht-o-khun mein muttafiq baham hain ye donon khule sine ke daghon par thahar rahte hain kuchh aansu chaman mein mahr-warzi ke gul-o-shabnam hain ye donon kabhu dil rukne lagta hai jigar gahe tadapta hai gham-e-hijran mein chhati ke hamari jam hain ye donon khuda jaane ki duniya mein milen us se ki uqba mein makan to 'mir'-sahib shohra-e-alam hain ye donon