tha mustaar husn se us ke jo nur tha khurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek nale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain malum ab hua ki bahut main bhi dur tha aatish buland dil ki na thi warna ai kalim yak shoala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis mein raat ek tere partawe baghair kya shama kya patang har ek be-huzur tha us fasl mein ki gul ka gareban bhi hai hawa diwana ho gaya so bahut zi-shuur tha munim ke pas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar gai jo ur tha hum khak mein mile to mile lekin ai siphar us shokh ko bhi rah pe lana zarur tha kal panw ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar wo ustukhwan shikaston se chur tha kahne laga ki dekh ke chal rah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghurur tha tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein 'mir' samjhe na hum to fahm ka apni qusur tha