teri ankhiyan ke tasawwur mein sada mastana hun dekh kar zanjir tere zulf ki diwana hun gah sair-e-bostan karta hun gahe sair-e-bazm gah tere ishq mein bulbul hun gah parwana hun gah misl-e-barhaman hun ai sanam zunnar-band hat mein zahid ke gahe subha-e-sad-dana hun kiya hua gar hai dil-e-sad-chaak mera tira-bakht husn ki zinat hun tere surma hun gar shana hun jab sun hai us aashna ki aashnai ka khayal nin raha hun aap mein, main aap sun begana hun gosh rakh mera sukhan sunta hai har ahl-e-sukhan jab sun main bahr-e-sukhan ki sip ka durdana hun hai azal sun jalwa-paira dil mein hubb-e-murtaza is sabab 'daud' daem dushman-e-but-khana hun