teri chahaton ke khayal mein kai hasraten bhi milin mujhe tujhe dekhne ke khumar mein kai aadaten bhi milin mujhe hai ajab tarah ka moamla kabhi zindagi ne jo di saza to sitam ke sath mere khuda badi rahaten bhi milin mujhe han bura kisi ka nahin kiya magar ek dard ki baat ye ki bhala kiya to kiya magar yahin tohmaten bhi milin mujhe meri zindagi mein to nafraton ki siyah raat hi thi magar kisi raushni ki tarah sanam teri ulfaten bhi milin mujhe jahan pattharon ke gawah se kabhi sach ko jhut bana liya kabhi jhut sach mein badal gaya wo adalaten bhi milin mujhe mere ham-nashin mere ham-nawa mere ham-safar mere raazdan tere dil mein pyar ke sath-sath kuduraten bhi milin mujhe