teri chashm-e-tar mein rawan-dawan gham-e-ishq ka jo malal hai ye hi ibtida-e-firaq hai ye hi intiha-e-visal hai hai qarib phir bhi hai ajnabi tu idhar nahin main udhar nahin kisi rah ke hain do samt hum main junub hun tu shumal hai meri haalaton mein nihan hain ab teri justuju ki kharabiyan na main gham-zada na main shadman mera haal bhi koi haal hai tu sitam kare to inayaten main gila karun to shikayaten tera har sukhan wahi arsh ki mera bolna bhi muhaal hai wo bura kahe mujhe raat-din ye raza hai us ke mizaj ki use 'afi' main bhi bura kahun kahan mujh mein itni majal hai