teri dahliz pe jo khud ko jhuka sakte hain wo koi aur qadam bhi to utha sakte hain qais ne dasht mein itni to ijazat di hai aap kuchh roz yahan khak uda sakte hain lakh hi talkh shab-o-roz diye tu ne magar zindagi tere liye hath badha sakte hain chahchahati hui aawazon ko tarse hue log ab bhi chahen to nae ped laga sakte hain shor se khamushi ki samt safar karte hue khamushi se bhi koi shor utha sakte hain