teri duniya ye tere guman o yaqin ya-aKHi

teri duniya ye tere guman o yaqin ya-akhi
wahime ke siwa aur kuchh bhi nahin ya-akhi

ek bad-shakl si aarzu ke siwa kuchh na tha
hum samajhte rahe jis ko sab se hasin ya-akhi

bas taza lahu ki hawaon mein hai chaar-su
khud ko dekhun ki dekhun teri aastin ya-akhi

murshidi aap ke aastane ki kya baat hai
milte hain is jagah aasman-o-zamin ya-akhi

irtikaz-e-tawajjoh se kab hote hain moajize
habs-e-dam hi to husn-e-tasawwuf nahin ya-akhi

jurm ye hai ki khurshid ke khanwade se hun
mujh se khaif hain kyon aap ke ja-nashin ya-akhi

zindagi misl-e-sha'ab-e-abi-talib 'asif' ki hai
ba-khuda sazishon ke sabab bil-yaqin ya-akhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close