rang-e-takhsis mein tamim bhi ho sakti hai wo ikai hun jo taqsim bhi ho sakti hai ai mere ghamza-e-gham kya tujhe ehsas nahin tere jazbaat ki tafhim bhi ho sakti hai kuchh na hone ki khabar pa ke khula hai mujh par meri qatil meri talim bhi ho sakti hai dekh lo us ka sarapa to yaqin aa jae rang aur nur ki tajsim bhi ho sakti hai wo agar chahe to kafir ko musalman kar de aazari din-e-brahim bhi ho sakti hai hamein ehsas hua bhi to bichhad jaane par zindagi rah mein do-nim bhi ho sakti hai abhi ye tir kaman se nahin nikla 'asif' abhi taqdir mein tarmim bhi ho sakti hai