teri gali mein gae kitne mah o sal hue guzar gae kai mausam hamein bahaal hue zaban mein thi abhi luknat ki harf-e-ishq kaha ladakpana tha ki zanjir-e-khadd-o-khal hue main muskuraata raha aur muskuraata raha sawal mujh pe kai mere hasb-e-haal hue nahin ki kohkan o qais ka zamana nahin magar ye baat ki ye log khal khal hue thahar gaya sawa neze pe aan kar suraj guzar gain kai sadiyan hamein zawal hue phir us ki yaad ne dastak dil-e-hazin par di phir aansuon mein nihan us ke khad-o-khal hue misal-e-naqsh-e-kaf-e-pa na uth sake 'tahsin' ba-rang-e-sabza hum is darja paemal hue