teri gali mein jo aae wo ghar nahin jate

teri gali mein jo aae wo ghar nahin jate
jo tere dar pe hain wo dar-ba-dar nahin jate

wo aaenge kabhi kothe pe imtihan kar lo
falak se bhage to shams-o-qamar nahin jate

masih-o-bu-ali-sina ki kya hui tashkhis
kisi ilaj se dagh-e-jigar nahin jate

gale lagate hain un ko bahane rukhsat ke
chale sharab ki ab ham-safar nahin jate

wo kaun subh nahin karte sham ka wada
wo sham kaun si hai jo mukar nahin jate

padhaya tote ko ek umr bewafa nikla
azal ke bigde kisi se sudhar nahin jate

ye aage aage kanwal le ke chal rahe ho kyun
wo manzilon mein qamar ke agar nahin jate

tumhaari chashmon ne khat par magar na dali aankh
ghazal kis liye raihan ko char nahin jate

falak se puchhiye dariya ka shor kuchh bhi hai
jo nikle dil se ye nale kidhar nahin jate

ghubar aah ka mere hai jald rail se bhi
kuchh aab-e-barq rawish tar par nahin jate

lada ke aankh tum aankhon se ho gae pinhan
par aankh se meri misl-e-nazar nahin jate

makan aur to laeq nazar nahin aata
gharib-khana to hai kyun utar nahin jate

khayal-e-sabza-e-khat bhi ho ai janab-e-khizr
piye hain aab-e-baqa aap mar nahin jate

dhadi jamaw malo mehndi zulf suljhao
ghazab ka naz hai tum kyun sanwar nahin jate

tumhaari choti ki nagin se khelte hain mudam
kisi bala se ye ushshaq dar nahin jate

khafa nasim se kitne hain wo ilahi khair
hawa bhi khane ko sham-o-sahar nahin jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close