teri gali se guzarne ko sar jhukae hue faqir hujra-e-haft-asman uthae hue koi darakht sarae ki jis mein ja baithen parinde apni pareshaniyan bhulae hue mere sawal wahi tut-phut ki zad mein jawab un ke wahi hain bane-banae hue hamein jo dekhte the jin ko dekhte the hum wo khwab khak hue aur wo log sae hue shikariyon se mere ehtijaj mein 'babar' darakht aaj bhi shamil the hath uthae hue