teri gali si kisi bhi gali ki shan nahin ki is zamin pe sunte hain aasman nahin mizha se badh ke nahin hai jo koi tir-e-hasin tumhaare abru se dilkash koi kaman nahin sisak rahe hain jo sadkon pe sainkadon insan tumhaare shahar mein shayad koi makan nahin yahin bahisht hai yaro yahin hai dozakh bhi ki is jahan se aage koi jahan nahin meri khamoshi ka matlab nahin qarar-o-sukun bhara hai dard se dil taqat-e-bayan nahin adu ko dete hain tarjih mujh se khadim par bure-bhale ke pari-wash mizaj-dan nahin hamare shahar mein har ek is tarah chup hai ki jaise munh mein kisi shakhs ke zaban nahin ye ashk manzil-e-akhir hain ishq ki hamdam ki in sitaron se aage koi nishan nahin ho 'fakhr' khak mujhe qaum ki taraqqi par jo fard-e-qaum ye mazdur aur kisan nahin