haram-sara-e-naz hai ki dar-e-gah-e-niyaz hai nigah-e-nim-baz bhi nigah-e-nim-baz hai idhar-udhar jahan-tahan majaz hi majaz hai kahin kahin nasheb hai kahin kahin faraaz hai na tishnagi na ishtiha na hirs hai na aar hai zaban-e-ghaznawi pe ab ayaz hi ayaz hai na mai-kade ki baat kar na but-kade ki baat kar wahan bhi imtiyaz hai yahan bhi imtiyaz hai bashar bashar ko dekh kar gulab ki tarah khile yahi meri azan hai yahi meri namaz hai wo aaenge nahin-nahin nahin-nahin wo aaenge ye raaz raaz hi rahe dil-e-hazin ye raaz hai kisi se dosti nahin kisi se dushmani nahin na khar se kasha-kashi na gul se saz-baz hai