teri jab nind ka daftar khula tha yaqinan ek ek manzar khula tha use tum chand se tashbih dena ki us ke hath mein khanjar khula tha suna diwar-o-dar kya kah rahe hain hamari pith par nashtar khula tha nahin ki tang thin apni qabaen tumhaare jism ka paikar khula tha badalte mausamon ki tan tuti ghataon par mera saghar khula tha pari-paikar se jab bhi baat hoti maze ki baat hai aksar khula tha kisi ke hath soe the sirhane kisi ke hath mein khanjar khula tha udanen jab bhi thin mahdud 'khullar' hamare nam ka shah-par khula tha