us ek shakhs ka koi pata nahin milta ki us ke baad to kuchh bhi naya nahin milta wo aaine se bhi nazren chura raha hoga ki us ka rup hi us se zara nahin milta wo dhup chhanw kare kahkashan bahaar kare wo arz-o-tul ke andar bandha nahin milta wo jism ruh khala aasman hai kya hai ki rang koi ho us se juda nahin milta kabhi kabhi hi khazane nasib hote hain bana banaya hua sab sada nahin milta bana to rakkha hai munsif ko apna pahre-dar wo apne jurm se lekin riha nahin milta ai kaenat zara mutthiyan to khol kabhi pata jo rakhta ho malik tera nahin milta