teri jafa-o-zulm ka charcha kahan nahin aisi koi zamin hai jahan aasman nahin alfaz se nahin hai matalib ka koi rabt kyunkar na ek raaz bane teri han nahin wo un ka raazdar bane bazm-e-naz mein jis aashna-e-dard ke munh mein zaban nahin gulchin-o-baghban bhi hain gul bhi hain bagh mein lekin ghazab to ye hai mera aashiyan nahin urdu unhin ki god mein phuli phali 'riyaz' jo log kah rahe hain ye meri zaban nahin