kisi ka zakhm de kar muskurana yaad aata hai kisi ka us pe phir marham lagana yaad aata hai zamin pe bikhre phulon ko kabhi jab main uthati hun kisi ka tod kar dil chhod jaana yaad aata hai ulajh kar kaam mein jab bhul jati hun main khud ko tab wo man ka dudh aur roti khilana yaad aata hai mujhe yaad aati hai aksar kadi wo dhup bachpan ki wo nanhe hathon se kachra uthana yaad aata hai bhari barish mein chhappar se tapakta khub jab pani wo aanchal mein hamein man ka chhupana yaad aata hai sadak par jab bhi dekhun main koi sota hua bachcha mujhe apna anathaalye mein jaana yaad aata hai meri tanhaiyan jab jab pareshan mujh ko karti hain mujhe tab tab mera wo dil lagana yaad aata hai