teri khamoshi zaban-dani se mawara hai ye baat alfaz aur maani se mawara hai hamari tishna-labi ko kafi nahin hai dariya hum aise pyason ki pyas pani se mawara hai ye zindagi jis ko sab adakar chahte hain hamara kirdar is kahani se mawara hai hamari tishna-dili mohabbat se kya bujhegi hamari khwahish teri jawani se mawara hai meri dua mein sawal bakhshish ka hai wagarna jo mar gaya hai wo mehrbani se mawara hai