tumhaare nam par dariya banega ye chehra ba'd mein sahra banega nikalna pad raha hai jaise ghar se hamari qabr par rasta banega jabin mehrab se aage ki soche zamin par tab koi sajda banega wo jis kone mein qaidi ro raha hai wahan ek roz darwaza banega tumhein apna bana kar sochta hun muqaddar ab tumhaara kya banega jala kar rakh kar dalega suraj yahan jis jis ka bhi saya banega