teri koshish hum ai dil sai-e-la-hasil samajhte hain sar-e-manzil tujhe begana-e-manzil samajhte hain usul-e-zindagi jaan-dada-e-qatil samajhte hain na sar ko sar samajhte hain na dil ko dil samajhte hain ghariq-e-bahr-e-ulfat aashna-e-qulzum-e-mani jahan par dub kar ubhren use sahil samajhte hain dayar-e-ishq ke sakin zamin par panw kya rakkhen yahan ke zarre zarre ko jab apna dil samajhte hain karen kya un se shikwa jo kisi ke dil jalane ko farogh-e-garmi-e-hangama-e-mahfil samajhte hain jhukana aastan par sar koi mushkil nahin lekin jabin-e-bandagi ko hum kab is qabil samajhte hain shikasta-dil liye ye soch kar is bazm se nikla shikayat kijiye un se jo dil ko dil samajhte hain ye dil hazir hai bismillah wo kholen girah is ki agar aasan hall-e-uqda-e-mushkil samajhte hain lab-e-fariyaad agar kholun to kya hangama barpa ho khamoshi ko meri jab guftugu-e-dil samajhte hain wo khalwat ho ki jalwat ho tajalli ho ki tariki jahan tum ho usi ko hum bhari mahfil samajhte hain irada ho to dil mazbut kar ai dubne wale jab aisa waqt ho dhaare ko bhi sahil samajhte hain dam-e-akhir ruka hai ek aansu dida-e-tar mein isi ko hasti-e-nakaam ka hasil samajhte hain wafa ki had dikha kar jalne wale dil khuda-hafiz tujhe bhi ek charagh-e-kushta-e-manzil samajhte hain mita dala mujhe phir bhi ye hai bedad ki hasrat abhi fehrist-e-maujudat mein shamil samajhte hain mera tarz-e-suluk is rah ke rah-rau na samjhenge magar jo rahbar rah-e-haq-o-baatil samajhte hain nisar-e-dost hai ye motiyon ka be-baha mala har ek aansu ko hum tuta hua ek dil samajhte hain jinhen malum hai teri nigah-e-naz ka aalam wo apne zabt ke dawon ko khud baatil samajhte hain 'aziz' afkar-e-duniya aur mashaghil sher-goi ke ahibba ki mohabbat hai jo is qabil samajhte hain