waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye kaj-bahsi-e-majaz-o-haqiqat na kijiye uthiye na aap bazm se ghusse mein is qadar jata hun main huzur qayamat na kijiye yaad aa hi jata hai kabhi naseh ka qaul bhi sab kijiye jahan mein mohabbat na kijiye bedad aur us pe ye takid al-hazar aa jae dam labon pe shikayat na kijiye zindon mein ab shumar nahin hazrat-e-'aziz' kahte the aap se ki mohabbat na kijiye