teri mehndi mein mere khun ki mahak aa jae phir to ye shahr meri jaan talak aa jae bus pe ye soch ke chadhte hue rah jata hun kya khabar tere rawayye mein lachak aa jae unt aur ret meri zat ka hissa the magar ab qadam ghar se nikalun to sadak aa jae ghar ki diwar pe karwa ke safedi pili chahta hun meri aankhon mein chamak aa jae ye bhi mumkin hai mera saya mera sath na de ye bhi mumkin hai mujhe teri kumak aa jae