teri nafrat ko tera pyar samajhta hun main dhup ko saya-e-diwar samajhta hun main sadgi dekh meri soch-samajh kar zalim apni taqdir ko bedar samajhta hun main baz auqat to is darja bahak jata hun doston ko bhi wafadar samajhta hun main meri taid ko taid samajhne wale tere har lafz ko talwar samajhta hun main mujh ko malum hai anjam-e-sadaqat 'ishrat' khud ko har lamha sar-e-dar samajhta hun main