teri mahfil tere kuche ka pata yaad nahin phir bhi jite hain ki marne ki ada yaad nahin main to chhod aaya tha ek bhid sar-e-rah-e-wafa kaun kis mod se kab laut gaya yaad nahin aaj dil par tapish-e-asr-e-rawan tari hai aaj us shokh ki aanchal ki hawa yaad nahin lazzat-e-zakhm-e-jigar talkhi-e-sahba-e-junun ab koi chiz tere gham ke siwa yaad nahin zehn be-ab chatanon ki tarah jalta hai teri zulfen teri zulfon ki ghata yaad nahin aap ne khud ko bataya tha masih-e-dauran aap ko bhi mere zakhmon ki dawa yaad nahin thi jab ek dhum hadis-e-lab-o-gesu 'ishrat' wo zamane wo fazaen ba-khuda yaad nahin