teri nazar ka rang bahaaron ne le liya afsurdagi ka rup taranon ne le liya jis ko bhari bahaar mein ghunche na kah sake wo waqia bhi mere fasanon ne le liya shayad milega qariya-e-mahtab mein sukun ahl-e-khirad ko aise gumanon ne le liya yazdan se bach raha tha jalalat ka ek lafz us ko haram ke shokh bayanon ne le liya teri ada se ho na saka jis ka faisla wo zindagi ka raaz nishanon ne le liya afsana-e-hayat ki takmil ho gai apnon ne le liya ki beganon ne le liya bhuli nahin wo qaus-e-quzah ki si suraten 'saghar' tumhein to mast dhiyanon ne le liya