talkhiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin shama khamosh bhi rahte hue khamosh kahan is tarah kah diya sab kuchh ki kaha kuchh bhi nahin hum gadayan-e-mohabbat ka yahi sab kuchh hai garche duniya yahi kahti hai wafa kuchh bhi nahin ye naya tarz-e-karam hai tera ai fasl-e-bahaar le liya pas mein jo kuchh tha diya kuchh bhi nahin hum ko malum na tha pahle ye aain-e-jahan us ko dete hain saza jis ki khata kuchh bhi nahin wahi aahen wahi aansu ke do qatre 'ajiz' kya teri shairi mein in ke siwa kuchh bhi nahin