teri nazar ke ishaare badal bhi sakte hain mere nasib ke tare badal bhi sakte hain main apni naw bhanwar se nikal laya hun magar ye dar hai kinare badal bhi sakte hain amir-e-shahr ki taqrir hone wali hai sahar talak ye nazare badal bhi sakte hain ye daur wo hai ki ghairon ka kya kahen sahab hamare haq mein hamare badal bhi sakte hain