wo meri jurat-e-kamyab se na-waqif hain han wahi log jo girdab se na-waqif hain aisi raaten ki jinhen nind ki lazzat na mili aisi aanhken jo abhi khwab se na-waqif hain meri kam-goi pe jo tanz kiya karte hain meri kam-goi ke asbab se na-waqif hain un se kya kije tawaqqoa wo hain nau-warid-e-dasht dasht-e-wahshat ke jo aadab se na-waqif hain wo jo be-gana-e-tahzib-o-tamaddun hain wo log mahfilon ke adab-adab se na-waqif hain