teri nazar mein tere ma-siwa nahin hoga tere wajud ka jis din tujhe yaqin hoga jo ghar se nikla to har ek ko muntazir paya khayal tha ki koi jaanta nahin hoga fareb deti hain viraniyan sada to laga makan hai to yaqinan koi makin hoga khabar na thi ki hazar aankhen hain andhere ki use khayal tha charcha kahin nahin hoga hare darakhton ke sae se ab larazta hai wo khushk patton mein baitha hua kahin hoga wo chhup gaya ho kisi khauf se kahin warna abhi dikhai diya tha yahin kahin hoga 'waqar' aur kahin to nazar nahin aata agar wo ghar mein nahin hai to phir wahin hoga