meri khamoshi ko bhi ek sada samajhte rahe main kya tha aur mujhe log kya samajhte rahe hamari nasl ko ujlat ne na-murad kiya zara se shor ko ye der-pa samajhte rahe ye dost mere mujhe aaj tak na jaan sake main ek dard tha lekin dawa samajhte rahe dikhai deta tha ye shahr meri aankhon se yahan ke log mujhe aaina samajhte rahe khayal-e-yar ki chadar thi ek khwab 'aziz' ye aur baat use hum qaba samajhte rahe