teri nazron se yar utar jaun is se behtar ye hai ki mar jaun main bhi ab kya karun ai mere raqib meri fitrat nahin ki dar jaun gar tu dastar mang le mujh se tere qadmon mein de ke sar jaun phir koi aur hi banun aakhir tut jaun to is qadar jaun tu bhi be-shak nazar ghuma lena main agar pher kar nazar jaun tu mujhe chhod kar nahin jaana main tujhe chhod kar agar jaun upar upar to par ja na saka sochta hun bhanwar bhanwar jaun hath khali hain chashm tar hai meri ab tu hi bol kaise ghar jaun yun moattar karun faza 'nayab' khushbuon ki tarah bikhar jaun