tu harf-e-akhiri mera qissa tamam hai tere baghair zindagi karna haram hai karne hain tere jism pe ek bar dastakhat taki khuda se kah sakun tu mere nam hai hota hai guftugu mein bahut bar tazkira yani hawa charagh ka takiya-kalam hai pahle-pahal mili thi hamein shiddaton ki dhup ab yun hai rabte ki sarae mein sham hai aakhir mein bas nishan hain 'sahar' kuchh sawaliya phir is ke baad dastan ka ikhtitam hai